Apne blogger ka seo kaise karete hai ( Seo hota kya hai)
Hello Dosto Aaj mein apko apne is article mein apko btaunga ki kaise apne blogger ka seo kiya jata hai. Mere ko bhut sare dosto ke message aate hai ki hum apne blogger ka seo kaise karen.
Dosto ek din mein kaise top search mein laye apne blogger ko. Dosto Agar apke blog per traffic nahi ata hai to wo kisi kam ka nahi hota ye bat aap ko samjhani hogi kyunki new blog tabi success hota hai jab uska SEO thik se hua ho without SEO ye namumkin hota hai.
Esliye main puri kosish karunga apko guide karne ki taki apka blog aur aap sahi dish me kadam badha kar khud ko success kar paye.
Sabse Pahle Seo kya hota hai ye Janna Bhut hi jaruri hai.
SEO ka full form hai search engine optimization aur SEO ka matlab hota hai ki apne blog ya website ko search engine ke layak banana taki search engine apke blog ko samjh sake uske content ko samjh sake aur usi ke hisab se apko visitor provide kara sake.
SEO blog ka traffic badhane ke liye jarori hota hai google me aane se apke blog ka traffic badhata hai apko jyada visitor milte hai jisse jyada earning hoti hai.
Blog ki success life ke liye jyda traffic and visitor most important hote hai esliye apka seo karna jarori hota hai.
Search engine optimization ke liye apko apne blog ko search me submit karna hota hai ye hi blog aur website ka main seo hota hai.
Jab tak aap apne blog aur website ko search engines me submit nahi karenge tab tak kuch nahi kar payenge. Kam sabdo me eska sidha sa matlab ye hai ki agar apko search engine se visitor chahiye to apko SEO karna bahut jarori hota hai.
Eske liye apko apne blog ko google yahoo aur bing me submit karna hoga. Google duniya ka sabse bada search engine hai yahoo ya bing ke mukable log google ko jyada use karte hai, Log apne jyada sawal google per search karte hai.
Is Post mein Itna hi btaunga. dosto apko apni dusti post mein btaunga ki advance seo kaise karte hai apne blogger ke liye.
No comments