Breaking News

AppYet Se Bina Coding kiye Blogger ke Liye Android App Kaise Bnayen




AppYet से बिना कोडिंग ब्लॉग के लिए Android App कैसे बनाये।


Kya aap apni blog ke liye Android App bnana chahte ho lekin coding na aane ke karn nhi bna pa rhe ho? Agar ha to aapki ye problem solve ho gayi hai kyuki aaj mai aapko ek aisi site ke bare me batane wala hu

jisse ham Without Coding Apni Blog Ya Website Ke Liye Android App bna sakte hain. Aaj mai aapko jis site ke bare me bataunga uska naam AppYet hai. Isi se ham bahut aasani se Bina Coding Android App bna sakte hain.
AppYet Kya Hai?


Dosto AppYet ek aisi site hai jisse ham bina coding Android App bna sakte hain. Ye ek trusted site hai AppYet.com 2015 me banayi gayi thi aur aaj ye ek brand ban chuki hai isse ham apni blog ke liye ek bahot hi achi look wala android app bina coding ke bana sakte hain.

Agar aap apne android app se paise bhi kamana chahte ho to isse aap vo bhi kar sakte ho aur iski sabse achi bat ye hai ki ye bilkul free hai yani ki Android App Banane ke liye ye hamse ek bhi Rupya nhi leti hai. Agar aap apni Blog ke liye ek professional app vo bhi bina coding ke banana chahte hai to Aap ise ek bar try jarur karna.
AppYet Se Bina Coding Android App Banane Ke Kya Fayde Hai.

Agar aap ye soch rahe ho ki AppYet Se Bina Coding Android App Banane ke kya Fayde hai to sabse pahle iska jo sabse bada fayda hai vo ye hai ki isse hame apni site ka Android app Banane ke liye ek bhi Rupya kharch nhi karna padta hai. normally agar ham

kisi developer se android app banvate hai to vo hamse 5k+10k se rupaye le lega. To aap soch hi sakte ho ki isse hame kitna bada fayda ho rha hai. Iske aur bhi Fayde hai jo niche bata rha hoon.


1. Visitors Track – Agar aap apni site ka app AppYet se banate hain to aap apne app ko Google Analytics se connect kar sakte hain jisse aap apne app ke Page View aur apne ke users ke bare me bahot kuch Jan sakte hain. Agar aapka Google Analytics Par account nhi hai to pichli post me maine isi ke bare me bataya tha aap post padh karke account Bna lijiye aage mai aapko ise Android App se connect karne ke bare me bataunga.


2. Earning – Agar aap AppYet Se Bina Coding Android App banate hain to aap ise adsense yani ki Admob se bhi jod sakte hain jisse aap apne android app se income bhi kar payenge.

3. Traffic – agar aap apni blog ka Android App banate hai aur use jyada log use karte hain to aapko earning ke sath sath traffic badhne ka bhi fayda hoga.
Blog Ka Android App Hone Se Kya Fayda Hai.

Dosto agar aap is bare me abhi tak nhi jante to mai aapko bata du ki aaj kal India me jyadatar logo ke pass Android App hai aur sath 4G Phone Aur Jio sim bhi hai jisse log ab Blog par kam aur YouTube par jyada aate hain aur hamara nuksaan hota hai lekin agar ham apni site ka Android App bna le aur us Android App me adsense ke ads laga kar apne visitors ke phone me download aur install karwa de to aap soch hi sakte ho ki isse hamara kitna fayda hoga. Hamari new post ki notification bhi unhe turant app me hi mil jayegi jisse hamara traffic badhega aur agar hamne apne app me Admob (Adsense) ke ads Lagaye hai to achi khasi income bhi ho jayegi.
Blog Ke AppYet Se Bina Coding Android App Kaise Banaye.

To dosto ab mai aapko AppYet Se Bina Coding Android App banane ke bare me step by step guide Karne wala hoon jise follow karke aap bade hi aasani se apni blog ke liye Android app create kar sakte hai vo bhi kam se kam samay me to chaliye start karte hain bina coding Android App Banane.


1. Sabse pahle AppYet.com Open kijiye.

2. AppYet.com Kholne ke bad upar Signup par click kijiye.

3. Ab ek new page khulega yahan apni sari details fill karke Sign UP par click kijiye.







4. Ab yahan apne Android App ka name daliye Aur Create app par click kijiye.


5. Ab yahan aapko apne android app ka logo aur content rating me everyone select karke Save Changes par click karna hai. Changes Save hone ke bad upar Modules par click kijiye.



6. Modules par click karne ke bad aapke samne bahut se modules Aa jaayenge inme se aapko jo-jo modules remove Karne hai vo mai aapko niche bata rha hoon.

Feed
Feed
Feed
Feed
Feed

Feed
Twitter
Web
Forum
Forum
Explore

Upar bataye sabhi modules aapko yahan se hatane hai hatane ke liye Module ke samne wale detail button par click kariye.


7. Ab aapko Feed module add karna hai. Jiske bare me mai niche bata rha hoon.

7.1 – Niche aakar Feed(RSS/Atom) par click kijiye.



7.2 – Menu Name me Home aur Menu Order me 2 likh kar save par click kijiye.

7.3 – Ab RSS/Atom Feed Url: me apni blog ka feed URL Dal kar niche save par click kare.






7.4 – Ab Back To Modules par click kijiye.

8. Ab upar settings par click kijiye.
9. Settings par click karne ke bad sabse niche aakar Feedback Email me apni email id daliye, Help Link me apni blog ka link aur Google Analytics me Tracking code daliye jisse aap apne visitors ko track kar Paye.










10. Upar ki sabhi chije dalne ke bad Save Changes par click kijiye.

11. Ab upar diye Monetize ke button par click kijiye.



12. Ab Ad Type Me AdMob select Kijiye aur ad code dal kar save changes par click kar dijiye. Aapko ad code apne adsense account me AdMob ke option se mil jayenge.

13. Ap upar diye build ke option par click kijiye.

14. Build ke option par click karne ke bad Submit To Build par click kijiye.

15. Ab aapka android app 30s ke ban jayega.

16. Ab aapko 1-2 minutes ke bad My Apps ke option par click karna hai.

17. Ab aapke samne aapke Android App ki details Aa jayegi jisme ek jagah Build Status likh hoga aapko yahan par ye dekhna hai ki Build Status me niche success likh hai ya pending, agar success likha hai to uske samne Details par click kar dijiye.



18. Ab Build ke option par click kijiye ab yahan aapko ek Download(within 24hr) ka ek button dikhega isper click karke apna Android App download kar lijiye.



19. Jab apka app download ho jayega to ye aapko ek zip file me milega aap zip file ko unzip Kar lijiye usme aapka app hoga.

20. Ab aap apne android app ko Google Drive, Google Play Store ya direct apne friends ke sath share kar sakte hain.

To dosto mujhe ummid hai ki aapko ye AppYet Se Bina Coding Android App Banane ki post pasand aayi hogi aur aapko isse kafi help mili hogi apni blog ke liye App Banane me agar han

to jate jate is post ko social media par share kar dijiye aur sath hi comment bhi kijiye aur aisi hi post ki notification sidhe apne email par pane ke liye hamari blog ko subscribe kijiye.

No comments