Real Tarike : Paytm Se Paise Kaise Kamaye Uski Puri Jankari Hindi Me
Aaj is post me main apko bataunga ki PayTm kya hai aur PayTm se Paise Kaise Kamaye? Complete jankari hindi me.
Paytm India ka sabse bada aur useful online wallet ya E-wallet ban gaya hai. Paytm ka use mobile recharge, pay bills, ticket booking etc ke liye kiya jata hai. Lekin aaj paytm itna famous ho gaya hai ki iska istemaal har sarvjanik places par hone laga hai. Jaise Sabji bechne wala bhi paytm se hi payment recieve karne laga hai.
To aise me hamare dimag me khayal ata hai ki kya hum bhi paytm se paise kama sakte hai. To isliye is post main apko paytm se paise kamane ke real tarike batane ja raha hu. Janiye paytm se paise kaise kamaye hindi me jankari.
PayTm Kya hai – What is Paytm in Hindi
Paytm website ko Vijay Shekar Sharma dwara 2010 me launched kiya gaya tha. Starting me paytm mobile recharge, ticket booking, electricity bills etc payment ke liye use kiya jata tha. Lekin aaj ye e-commerce website hai. Jispe aap lagbhag sabhi electronics saman kharid sakte ho. Aaj paytm Duniya ki top 10 shopping websites me se ek hai.
Lekin paytm sabse jyada famous apne online wallet ke liye hai. Aaj paytm wallet ka use lagbhag sabhi online payments ke liye hone laga hai.
Paytm Services-
Chaliye ab jyada time na waste na karte huye topic par ata hu ki kis tarah aap paytm se paise kama sakte ho.
PayTm se Paise Kamane ke 3 Real Tarike Hindi Me Jankari
Paytm se paise kamane ke tarike- (sociallocker)
Method 1.
1. Recharge And Get Cash Back
Paytm se paise kamane ka ye sabse best aur easy tarika hai. Is tarike se paise kamane ke liye apko kam se kam 1000 Rs invest karne padenge. Ye 1000 rupay apko apne paytm wallet me add karne hai. Paytm wallet me paise add karne ke baad aap apne relative aur neighbours ka mobile rechagre, DTH recharge karke paise kama sakte ho.
For Example: Agar aapne apne kisi relative ya neighbour ka mobile recharge ya dish tv recharge 250 rs ka kiya. To agar aap cash bakck offer use karte ho to apko lagbhag 20-30 rupay wapas mil jayege.(sociallocker)
PayTm Wallet Me Paise Kaise Add Kare: How to use paytm wallet in Hindi
Paytm wallet me paise add karna bahut easy hai. Aap 3-4 easy steps me apne paytme wallet me paise add kar sakte ho.
Step 1. Sabse pahle apne paytm account par login kar lijiye aur agar aapne paytm par aacount nahi banaya hai. To Paytm website par visit karke account bana sakte ho.
Step 2. Account login karne ke baad Paytm wallet par click kijiye.
Step 3. Ab is form me amount fill kijiye aur Add Money to Wallet par click kar dijiye.
Step 4. Next step me apko apne credit card ya debit card ki detail bharni hai. Detail fill karne ke baad apke mobile number par confermation code ayega uske baad apke wallet me paise add ho jayenge.
Ab aap apne relative etc ka mobile recharge, DTH recharge karke commission kama sakte ho. Iske alawa aap electricity bill, mobile bills etc se bhi earn kar sakte ho.
2. Become a seller on PayTm – Sell on Paytm
Jaise ki main pahle hi bata chuka hu ki paytm ek e-commerce website hai. Agar aap paytm se paise kamana chahte ho Aap paytm par seller bankar apna koi bhi product sell kar sakte ho. Aap paytm par books sell kar sakte ho aur agar aap ek acche author ho aap apni khud ki likhi huyi e-book sell kar ke acche paise kama sakte ho.
PayTm Seller Kyu bane?
Aaj paytm par lagbhag 10 Cr+ trusted customers hai.
1 lac+ seller already paytm par sell kar rahe hai.
500+ categories ke antargat aap apne goods sell kar sakte ho.
Paytm seller kaise bane – How to become a seller on PayTm
Agar Aap paytm par apna product sell karna chahte ho aur paytm seller banna chahte ho. To uske liye niche di huyi steps follow kijiy-
Step 1. Sabse Pahle Paytm Marketplace Signup par click kijiye.
(Ab Ek form open hoga usko fill karna hai.)
Is form me apna Email ID, Name aur mobile number enter karke Sell on Paytm par click kar dijiye.
Form fill karne ke 24-48 hour me Paytm team apko call kar ke apse inquiry karegi. Aagar aap is inquery me khare utarte ho tab aap paytm par apna product sell kar sakte ho.
Paytm Cash Ko bank Me transfer kaise kare?
Paytm Wesite par visit kijiye.
Ya phir Paytm mobile app open kare.
Send ke icon par click kare.
Click karte hi side me send to bank likha ayega us par click kare.
Ab ek form open hoga jisme apko ye details fill karni hain
Account number
Ifsc code
Account holder ka naam
Amounts
Ye sabhi detail fill karke send button par click kijiye. Apke paise kuch hi minute me bank me ajanege.
NOTE : Bank me minimum transfer karne ke liye 104 rs hona jaruri hai. or apke har transaction me paytm 4% fee katega.
No comments